Thursday, July 11, 2013

Khoobsoorat mor



Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono


Shab-e-Tanhai Mein...


Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Buntay hain shama-e-zindagi ' Aur daaltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per

Woh bachpan aur wo saadgi ' Woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay ' Woh dil lagi woh qehqahay
Woh ishq woh ehd-e-wafa ' Woh wada or woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarb ' Yaad aati hain ik aik sab
Dil ka kanwal jo roz-o-shab ' rehta shagufta tha so ab
Us ka yeh abtar haal hai ' Ik sabza-e-pamaal hai
Ik phool kumhlaya hua ' sookha hua bikhra hua
Ronda para hai khak per

Yun hi shab-e-tanhai main ' Kuch dair pehlay neend say
Guzri hui na-kaamiyan ' Beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi ' Or daltay hain roshni
Un hasraton ki qabr per

Jo aarzooain pehlay theen ' Phir gham say hasrat ban gaein
Gham doston kay faut ka ' Un ki jawan mot ka
Lay daikh sheeshay main meray ' Un hasraton ka khoon hai
Jo gardish-e-ayyam say ' Jo qismat-e-nakaam say
Ya aish-e-ghum anjaam say ' Merg-e-But-e-gulfaam say
Khud meray ghum main mer gaein ' Kis tarha paaon main hazeen
Qaboo dil-e-baysabr per

Jab aah un ahbab ko ' Main yad ker uthta hoon jo
Yun mujh say pehlay uth gaye ' jis tarha taair (birds) baagh kay
Ya jesay phool aur patiyan ' Gir jain sun qabl khizan
Or khushk reh jaye shajr

Us waqt tanhai meri ' Bun ker mujassam baykasi
Ker deti hai pesh-e-nazar ' Ho haq sa ik weeran ghar
Berbaad jis ko chor ka ' Sub rehnay walay chal basay
Tootay keewar (door) or khirkiyan ' Chut (ceiling) kay tapaknay kay nishan
Pernaalay hain rozan nahin ' Yeh hall hain aangan nahin
Perday nahin chilman nahin ' Ik shama tuk roshan nahin
Meray siwa jis main koi ' Jhankay na bhoolay say koi
Woh khana-e-shali hai dil ' Poochay na jis ko dev koi
Ujra hua weeran ghar

Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Bantay hain shama-e-zindagi ' Aur daltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per

No comments:

Post a Comment