Wednesday, September 18, 2013

Ye din bahar ke ab ke bhi ras na aa sake


Ye din bahar ke ab ke bhi ras na aa sake
ki gunche khil to sake khil ke muskura na sake
meri tabahi dil par to raham kha na saki
jo roshni mein rahe roshni ko pa na sake
na jane aah! ki un aansuon pe kya guzri
jo dil se aankh tak aaye mishgan tak aa na sake
rahen khulus-e-muhabbat ke hadasat jahan
mujhe to kya mere naqsh-e-qadam mita na sake
karenge mar ke baqa-e-davam kya hasil
jo zinda reh ke muqam-e-hayat pa na sake
naya zamana banane chale the divane
nai zamin, naya aasaman bana na sake

Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua



Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua
kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua
mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua
wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua
vahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua
mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua